tire baghair main kitna huun be-qarar na puchh
bahar-e-gulshan-e-ulfat ka hal-e-zar na puchh
gaya hai mere mohalla se jab se badr-e-munir
hai chashm-e-qalb-e-hazin kaisi zaar zaar na puchh
firaq-e-yar men bistar ki ghair halat hai
hai kitna balish-e-maḳhmal bhi sogvar na puchh
shikasta qalb pe lagti hai choT ai hamdam
guzar rahi hai jo dil par vo baar baar na puchh
nikal phenka hai yadon ki laash ko dil se
kahan banega tamannaon ka mazar na puchh
tabib samjha tha jis ko tha astin ka saanp
shikasta kitna hua jam-e-e’tibar na puchh
nashat-o-aish men hamdam hazar milte the
dukhon men kaun tha sathi na puchh yaar na puchh
jahan pe sham-e-falak hai vahin pe parvana
talash kar miri mahfil mira dayar na puchh
Leave a Reply