Sahra Mein Jo Mila Tha Mujhe Itna Yaad Hai

sahrā meñ jo milā thā mujhe itnā yaad hai

merā hī naqsh-e-pā thā mujhe itnā yaad hai

itnā lahū lahū to nahīñ thā badan mirā

haañ zaḳhm ik harā thā mujhe itnā yaad hai

phir kyā huā kabhī mirī barbādiyoñ se pūchh

terī taraf chalā thā mujhe itnā yaad hai

vo bhiiḌ meñ khaḌā hai jo patthar liye hue

kal tak mirā ḳhudā thā mujhe itnā yaad hai

ik shahr jis ne kal mirī āvāz chhīn lī

vo shahr-e-be-navā thā mujhe itnā yaad hai

maiñ jaise muddatoñ se isī rahguzar meñ huuñ

pal bhar kā fāsla thā mujhe itnā yaad hai

jaane phir us ke baad mujhe us ne kyā kahā

hāfiz ḳhudā kahā thā mujhe itnā yaad hai

chehra kisī kā ab bhī tasavvur meñ hai ‘nafas’

ik ajnabī milā thā mujhe itnā yaad hai

Leave a Comment