tira ḳhayal sar-e-sham gham sanvarta hua
bahut qarib se guzra salam karta hua
jhijak raha tha vo mujh se nazar milate hue
ki main bhi tha isi ḳhake men rang bharta hua
main gharq hone hi vaala tha jab to ik tinka
bhanvar se mujh ko dikha.i diya ubharta hua
mila vo panch sitaron ki raqs-gahon men
zamane bhar se pasheman ḳhud se Darta hua
masafaten hain bahut aur saḳht rahon se
guzar gaya hai vo mujh ko talash karta hua
raqam hua nahin ab tak nisab-e-ham-safri
vo qafila bhi mila jab to kuuch karta hua
ajab tilism-e-safar hai ki sham-e-maqtal tak
pahunch gaya huun main har moḌ par Thaharta hua
kinara tha mire dariya se kaT gaya vo shaḳhs
ki main tha vaqt ki sarhad ko paar karta hua
Leave a Reply