tera ḳhayal jaan ke barabar laga mujhe
tu meri zindagi hai ye akasr laga mujhe
dariya tire jamal ke hain kitne is men gum
socha to apna dil bhi samundar laga mujhe
luuTa jo us ne mujh ko to abad bhi kiya
ik shaḳhs rahzani men bhi rahbar laga mujhe
kya baat thi ki qissa-e-farhad-e-kohkan
apni hi dastan-e-sarasar laga mujhe
aamad ne teri kar diya abad is tarah
ḳhud apna pahli baar mira ghar laga mujhe
aaya hai kaun meri ayadat ke vaste
kyuun apna haal pahle se behtar laga mujhe
kya yaad aa gaya mujhe kyuun yaad aa gaya
ghuncha khila jo shaḳh pe patthar laga mujhe