tera har gham chura liya hota
kaash mera pata liya hota
zindagi dhuup men guzari hai
saae men hi chhupa liya hota
kuchh to kam hote shab ke andhiyare
dil ka dipak jala liya hota
ya samundar ki tah men rakh aate
ya bhanvar se bacha liya hota
chal diye mere muskurane par
parda-e-gul hata liya hota
ashk ‘bina’ bikhar hi jaata hai
tu ne moti bana liya hota
Leave a Reply