tira firaq muqaddar samajh liya ham ne
ab apne-ap ko patthar samajh liya ham ne
tumhari yaad ke palkon pe ashk raushan the
andheri shab ko munavvar samajh liya ham ne
ye ḳhud-farebi nahin hai to aur kya kahiye
har ek saa.e ko paikar samajh liya ham ne
sipurd kar diye saare huquq rahzan ko
ye kis zalil ko rahbar samajh liya ham ne
tamam jism thakavaT se chuur chuur hua
tab is zamin ko bistar samajh liya ham ne
hamari bhuul thi qad men bahut jo chhoTe the
unhen bhi qad ke barabar samajh liya ham ne
vo jis ne jaan aziyyat men Daal di ‘mashkur’
use hi jaan se baḌh kar samajh liya ham ne
Leave a Reply