• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Wan To Milne Ka Irada Hi Nahin

Wan To Milne Ka Irada Hi Nahin

poet

vaan to milne ka irada hi nahin

yaan vo khvahish hai ki hota hi nahin

yuun satane ke to laaeq the na ham

aap ne kuchh hamen samjha hi nahin

jis se taskin ho miri ai qasid

aisi to baat tu kahta hi nahin

aur bhi aisi to baten hain bahut

gila-e-ranjish-e-beja hi nahin

le gaiin nichi nigahen dil ko

aankh utha kar abhi dekha hi nahin

rashk-e-dushman se nasihat hui aap

dil vahan jaane ko hota hi nahin

aur jo zulm ho manzur mujhe

ghair se rabt gavara hi nahin

yaan to ye muntazir-e-vaada ham

aur vaan yaad vo vaada hi nahin

rabt-e-dushman se hai inkar abas

hamen is baat ka shikva hi nahin

ham khuda se bhi nahin mangte kuchh

yaan koi apni tamanna hi nahin

na sahi koi burai na sahi

tum se milna mujhe achchha hi nahin

us ki har baat ko sach samjhe ‘nizam’

us sa ayyar to paida hi nahin

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Har Zarra-E-KHaki Ko Kiran Humne Banaya

Maut Han Bar-Haq Hai Lekin Zindagi Fani Kahan

Zindagi Se Thaki Thaki Ho Kya

abdul-hamid

Ajib Shai Hai Ki Surat Badalti Jati Hai

akbar-allahabadi

Mehrbani Hai Ayaadat Ko Jo Aate Hain Magar

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet