• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Calendar

Calendar

ishrat-afreen

dhyan ki divaron se

gae dinon ki yaden kaise utarun

is calendar men jitni tasviren hain

sab mujh ko jaan se pyari hain

is men pahli tasvir jo hai

ye mera sahma sahma khauf-zada bachpan

jis ke pas-manzar men jivan

sauteli maaon jaisi saffaki se mujh ko takta hai

mahrumi mere gaal masal kar

roti ka tukda deti hai

aur bhuuk tahoka deti hai

is men duuji tasvir jo hai

ye sabz ladakpan ki dahliz pe

nange paanv

phate libade

khvabon ki ujli pariyon ki sangat men

ik bachchi daudi jaati hai

ik khvahish udti jaati hai

rangin ghubaron ki surat

jo hathon se chhut jaate hain

us men agli tasvir jo hai

ye bhor samay ki duuri par

ik basti ki

jis basti men

ik angan hai

jis angan men

ik phuul sada se khila hua

ik aag musalsal raushan hai

vo aag

ki jis ko hijr ki andhi raten bhi kajla na sakin

vo phuul

ki jis ko dukh ki garm havaen bhi kumhla na sakin

in tasviron men zinda hai

in tasviron men raushan hai

Filed Under: Nazm Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

hasrat-mohani

Raushan Jamal-E-Yar Se Hai Anjuman Tamam

akhtar-azad-1

Band Honton Se Bhi Izhaar-e-Tamanna Karte

afroz-rizvi

Jin Ke Raston Se Sada Maine Hatae Patthar

Ishq Hun Jurat-E-Izhaar Bhi Kar Sakta Hun

Shauq Jab Jurat-E-Izhaar Se Dar Jaega

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet