tera chehra sub.h ka taara lagta hai
sub.h ka taara kitna pyara lagta hai
tum se mil kar imli miThi lagti hai
tum se bichhaḌ kar shahad bhi khara lagta hai
raat hamare saath tu jaaga karta hai
chand bata tu kaun hamara lagta hai
kis ko ḳhabar ye kitni qayamat Dhata hai
ye laḌka jo itna bechara lagta hai
titli chaman men phuul se lipTi rahti hai
phir bhi chaman men phuul kanvara lagta hai
‘kaif’ vo kal ka ‘kaif’ kahan hai aaj miyan
ye to koi vaqt ka maara lagta hai
Leave a Reply