tatolta hua kuchh jism o jaan tak pahuncha
vo aadmi jo miri dastan tak pahuncha
kisi janam men jo mera nishan mila tha use
pata nahin ki vo kab us nishan tak pahuncha
main sirf ek khala thii, jahan faza na hava
jab aarzu ka parinda udaan tak pahuncha
na jaane raah men kya us pe hadsa guzra
ki umr bhar na nazar se zaban tak pahuncha
ye kam-nasib bhatakta hua andheron men
kabhi yaqin kabhi phir guman tak pahuncha
vo jis men hadd-e-nazar tak charagh jalte the
vo rasta hi faqat darmiyan tak pahuncha
Leave a Reply