jab hai miTna hi to andaz hakimana sahi
ḳhalvat-e-gham ke evaz gosha-e-mai-ḳhana sahi
raunaq-e-bada-kashi jur.at-e-rindana sahi
ḳhaar hona hai to mai-ḳhana-ba-mai-ḳhana sahi
ishq ik qatre men dariya ko samo deta hai
aql ko divana samajhti hai to divana sahi
mere dil men bhi tajalli ke ḳhazine hain nihan
mah-o-ḳhurshid men aks-e-ruḳh-e-janana sahi
fursat-e-shauq ghanimat hai uTha bhi saghar
zindagi ek chhalakta hua paimana sahi
kya ḳhabar thi ki mai-e-nab men itna hai surur
ab jo pi li hai to ik aur bhi paimana sahi
meri varafta-nigahi ki bhi kuchh qimat hai
bazm ki bazm ruḳh-e-yar ka parvana sahi
fikr-o-ehsas men poshida hain asrar-e-hayat
bal-o-par quvvat-e-parvaz se begana sahi
yahi kya kam hai ki barbad-e-mohabbat hai ‘ra.is’
tere altaf-o-inayat se begana sahi
Leave a Reply