• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Tashqand Ki Sham

Tashqand Ki Sham

ali-sardar-jafri

manao jashn-e-mohabbat ki khuun ki bu na rahi

baras ke khul gae barud ke siyah badal

bujhi bujhi si hai jangon ki akhiri bijli

mahak rahi hai gulabon se tashqand ki shaam

jagao gesu-e-janan ki ambarin raten

jalao saad-e-simin ki sham-e-kafuri

tavil boson ke gul-rang jaam chhalkao

ye surkh jaam hai khuban-e-tashqand ke naam

ye sabz jaam hai lahore ke hasinon ka

safed jaam hai dilli ke dilbaron ke liye

ghula hai jis men mohabbat ke aftab ka rang

khuli hui hai ufuq par shafaq tabassum ki

nasim-e-shauq chali mehrban takallum ki

labon ki shoala-fishani hai shabnam-afshani

isi men subh-e-tamanna naha ke nikhregi

kisi ki zulf na ab sham-e-gham men bikhregi

javan khauf ki vaadi se ab na guzrenge

jiyale maut ke sahil pe ab na utrenge

bhari na jaegi ab khak-o-khun se maang kabhi

milegi maan ko na marg-e-pisar ki khush-khabari

koi na dega yatimon ko ab mubarakbad

khilenge phuul bahut sarhad-e-tamanna par

khabar na hogi ye nargis hai kis ki aankhon ki

ye gul hai kis ki jabin kis ka lab hai ye laala

ye shakh kis ke javan bazuon ki angdai

bas itna hoga ye dharti hai shahsavaron ki

jahan-e-husn ke gumnam tajdaron ki

ye sarzamin hai mohabbat ke khvastgaron ki

jo gul pe marte the shabnam se pyaar karte the

khuda kare ki ye shabnam yuun hi barasti rahe

zamin hamesha lahu ke liye tarasti rahe

Filed Under: Nazm Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Aarzuon Ko Ana-Gir Nahin Kar Sakte

saleem-kausar

dubne Wale Bhi Tanha The Tanha dekhne Wale The

poet

Gul Tere Mukh Ki Fikr Mein Bimar

Sufi

Ek Khalish Ko Hasil-e-Umr-e-Rawan Rahne diya

Likh Raha Hai Hamare Chehron Par

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet