jab kabhi madd-e-muqabil vo ruḳh-e-zeba hua
aina bhi rah gaya hairat se munh takta hua
fasl-e-gul men hai shikast-o-reḳht ka aina-dar
ek ik tinka nasheman ka mire bikhra hua
mahv-e-hairat huun ḳharash-e-dast-e-gham ko dekh kar
zaḳhm chehre par hain ya hai aina TuuTa hua
abr-e-gham barse to ashkon ki ravani dekhna
sahil-e-mizhgan pe hai tufan abhi Thahra hua
iḳhtilaf-e-zehn-e-fitrat zindagani ka sarab
ishtirak-e-bahami hi maujib-e-dariya hua
jab main un se kah chuka apni hadis-e-ranj-o-gham
un ki shoḳhi dekhiye kahne lage par kya hua
main samajh paaya na ‘ajiz’ ye tilism-e-rahbar
har qadam par manzil-e-maqsud ka dhoka hua
Leave a Reply