rahguzar-bashon ko saa.e ki bhi kya hajat nahin
puchhte hain alam-e-nau tere me.amaron se ham
kya ḳhabar thi aa ke manzil par vo hoga chaak chaak
jo bacha laa.e the daman raah ke ḳharon se ham
jaise saaya bhi gunahon ka nahin ham par paḌa
kis qadar daman-kashida hain gunahgaron se ham
dam na lenge jab talak ye samne se haT na jaa.en
Takkaren lete rahenge unchi divaron se ham
aap gham-ḳhvari ki zahmat mat gavara kijiye
iltija karte hain ab ye apne gham-ḳhvaron se ham
apni nadari se ḳhud apni nazar men hain subuk
is qadar mar.ub hain daulat ke ambaron se ham
ho rahe hain hausle puure mashiyyat ke ‘raza’
le rahe hain baaj mehr-o-mah se taron se ham
Leave a Reply