tash.hir apne dard ki har su kara.iye
ji chahta hai minnat-e-tiflan uTha.iye
ḳhushbu ka haath thaam ke kiije talash-e-rang
paanv ke naqsh dekh ke rasta bana.iye
phir aaj pattharon se mulaqat kijiye
phir aaj sat.h-e-ab pe chehre bana.iye
har inkishaf dard ke parde men aa.ega
gar ho sake to ḳhud se bhi ḳhud ko chhupa.e
phulon ka rasta nahin yaaro mira safar
paanv aziiz hain to abhi luuT ja.iye
kab tak hina ke naam pe dete rahen lahu
kab tak nigar-e-dard ko dulhan bana.iye
‘amjad’ mata-e-umr zara dekh-bhal ke
aisa na ho ki ba.ad men aansu baha.iye
Leave a Reply