Tujhse Milunga Phir Kabhi KHwab-O-KHayal Bhi Nahin

tujh se milūñgā phir kabhī ḳhvāb-o-ḳhayāl bhī nahīñ

chehre pe in dinoñ magar gard-e-malāl bhī nahīñ

ā.īna-e-sifāt meñ zaat kā aks kyā mile

us kī talāsh ho kahāñ jis kī misāl bhī nahīñ

tere sitam kī guftugū tere karam kī justujū

sub.h-e-firāq bhī nahīñ shām-e-visāl bhī nahīñ

mujh ko talab se kyā milā dard-o-sarāb āgahī

merī nazar meñ mo’tabar shahr-e-jamāl bhī nahīñ

vo bhī the din ki aa.ina ban ke vo sāmne rahe

ye bhī hai ab ki ḳhvāhish-e-pursish-e-hāl bhī nahīñ

Leave a Comment