
Syed Amin Ashraf
tasalsul pa.emali ka milega
sarir-ara ḳhizan hai kya milega
chalo dushman ko siine se laga len
kahan is shahr men apna milega
ḳharaba hai ki dasht-e-nainava hai
koi zaḳhmi koi pyasa milega
mire lashkar ki miTTi dusri hai
saf-e-a.ada men vo bhi ja milega
nahin be-vaj.h is girdab men huun
kanar-e-ab bhi dariya milega
nahin be-sud naze-e-gham uThana
hisab-e-dard hai duuna milega
‘amin’-ashraf ki hai pahchan ye bhi
bhari mahfil men vo tanha milega

Leave a Reply