Tark Un Se Rasm-O-Rah-E-Mulaqat Ho Gai

tark un se rasm-o-rāh-e-mulāqāt ho ga.ī

yuuñ mil ga.e kahīñ to koī baat ho ga.ī

dil thā udaas ālam-e-ġhurbat kī shaam thī

kyā vaqt thā ki tum se mulāqāt ho ga.ī

ye dasht-e-haul-ḳhez ye manzil kī dhun ye shauq

ye bhī ḳhabar nahīñ ki kahāñ raat ho ga.ī

rasm-e-jahāñ na chhūT sakī tark-e-ishq se

jab mil ga.e to pursish-e-hālāt ho ga.ī

ḳhū bū rahī sahī thī jo mujh meñ ḳhulūs kī

ab vo bhī nazr-e-rasm-e-ināyāt ho ga.ī

dilchasp hai ‘salīm’ hikāyat tirī magar

ab so bhī jā ki yaar bahut raat ho ga.ī

Leave a Comment