tark-e-ta.alluq kaise hua tha ab to kuchh bhi yaad nahin
dil ne ye sadma kaise saha tha ab to kuchh bhi yaad nahin
jab jab tum se milna chaha jab jab tum ko yaad kiya
vo lamha kaise guzra tha ab to kuchh bhi yaad nahin
nahr kinare dhire dhire shaam ki devi utri thi
chand ne ham se kya puchha tha ab to kuchh bhi yaad nahin
phuul sa chehra taara ankhen kaali zulfen ḳhvab huiin
mere dil men kaun basa tha ab to kuchh bhi yaad nahin
jivan ki rahon men ab ye saath nibhana mushkil hai
ham ne tum se kaise kaha tha ab to kuchh bhi yaad nahin
Leave a Reply