hijr gham ka bayan hai goya
yaas ki dastan hai goya
us ke jaur-o-sitam ka kya kahna
zulm men asman hai goya
paanv phailae khuub sote hain
kunj-e-marqad makan hai goya
rukh se zahir hai hal-e-dard-e-firaq
qalb ka tarjuman hai goya
khal-e-ariz pe yuun numayan hai
daagh dil ka nishan hai goya
hijr men aah us gul-e-tar ke
rang-e-rukh zaafran hai goya
dard-e-dil kyuun kahen na ham un se
jab hamari zaban hai goya
arsh se amad-e-mazamin hai
ye zamin asman hai goya
‘barq’ tum ne ghazal ye khuub kahi
lucknow ki zaban hai goya
Leave a Reply