jaan ke ziyan ko gham ki talafi samajh liya
kam-hauslon ne maut ko shafi samajh liya
jo guftugu men sab se zaruri tha vo suḳhan
un ki sama.aton ne izafi samajh liya
ik shart-e-justuju bhi thi manzil ke vaste
ham ne bas aarzu ko hi kaafi samajh liya
ḳhuddari-e-junun men in ankhon ne tere ba.ad
ashkon ko bhi vafa ke munafi samajh liya
‘jazib’ na jaane kaun si duniya ka shaḳhs tha
jis ne sazaon ko bhi muafi samajh liya
Leave a Reply