aql ki jaan par ban aa.i hai
ishq se zor-azma.i hai
husn-e-za hai jamal ka pindar
husn-e-pindar ḳhud-numa.i hai
lajvanti ko hai guman-e-nazar
ham ne dekha nahin laja.i hai
jins-e-dil ka na tha koi gahak
aap ne kis liye chura.i hai
haath yarab dua men phailana
qat-e-ehsas-e-na-rasa.i hai
qahr se aḳhz bhaap ki taqat
husn se vasf-e-kahruba.i hai
DhunDhti hain vo munfa.il nazren
daad mahfil se uTh ke paa.i hai
ishq kya jurm hai ki iḳhfa ko
aap ne mushkil ye bana.i hai
kah rahi hai hikayat-e-taimur
lang uzr-e-shikasta-pa.i hai
hai hamare liye ḳhuda kaafi
aap ke vaste ḳhuda.i hai
ḳhalq ke husn ḳhalq se behtar
aap ki vaz-e-kaj-ada.i hai
Leave a Reply