• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Dar Nahin Mujhko Gunahon Ki Giran-Bari Ka

Dar Nahin Mujhko Gunahon Ki Giran-Bari Ka

Dar nahin mujh ko gunahon ki giran-bari ka

teri rahmat hai sabab meri subuksari ka

daar ne ik sag-e-duniya ko ye baḳhsha hai uruuj

hai farishton men bhi charcha miri din-dari ka

dil o jaan saunp chuke ham tujhe ai jan-e-jahan

ab hamen ḳhauf hi kya apni giraftari ka

jaan bhi chiiz hai koi ki rakhen tum se daregh

paas itna bhi na ho rasm-e-vafadari ka

saqiya sab ko tiri ek nazar kaafi thi

tha kise hosh tire ahd men hushyari ka

main fida aaj bhi ho jaa.e vahi ek nigah

ḳhatma ho kahin is daur ki ḳhuddari ka

ashiqon ke liye hai daar hi daru-e-shifa

ishq ki tib men dava naam hai bimari ka

ajal istada hai balin pe mariz-e-gham-e-ishq

aankh to khol zara vaqt hai bedari ka

‘jauhar’ aur hajib o darban ki ḳhushamad kya ḳhuub

arsh o kursi pe guzar hai tire darbari ka

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Ab Kahin Saya-E-Gesu Bhi Nahin

mushafi-ghulam-hamdani

Bikte Hain Shahr Mein Gul-E-Be-Khaar Har Taraf

poet

Bulbul To Bahut Hain Gul-E-Rana Nahin Koi

poet

Bosida KHadshat Ka Malba Dur Kahin Dafnao

Surur-Afza Hui aaKHir Sharab Aahista Aahista

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet