Dur Se Dekh Rahe the Mere Ahbab Mujhe

duur se dekh rahe the mire ahbāb mujhe

apne hamrāh bahā le gayā sailāb mujhe

vo tire qurb kī ḳhushbū ko ayaañ ho na nihāñ

vo haqīqat bhī nazar aatī hai ik ḳhvāb mujhe

maiñ ki sāhil kā tamannā.ī thā lekin ab to

apne āġhosh meñ letā nahīñ girdāb mujhe

maiñ to sadiyoñ kā nindāsā huuñ magar ye to batāo

kyuuñ ye māhaul nazar aatā hai be-ḳhvāb mujhe

isti.āra huuñ na.e ahd meñ gum-shudagī kā

bhūlte jaate haiñ maazī ke hasīñ ḳhvāb mujhe

sar-e-hastī to usī chashm-e-gurezāñ se milā

kyā milā ‘rashk’ sar-e-mimbar-o-mehrāb mujhe

Leave a Comment