• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Tark-E-Lazzat Pe Mail Jo Ba-Zahir Hai Mizaj

Tark-E-Lazzat Pe Mail Jo Ba-Zahir Hai Mizaj

tark-e-lazzat pe maa.il jo ba-zahir hai mizaj

aaj to bagula-bhagat jaise bane hain mahraj

husn-e-maghrur o siyah-fam ka kaise ho ilaaj

shakl-o-surat to chuḌelon ki hai pariyon ke mizaj

chhoḌ aa.e haram-e-pak men jins-e-iman

laad kar la na sake jab ki vatan tak hujjaj

aise bhi bani-e-be-dad hain kuchh duniya men

falak-e-pir bhi deta hai jinhen jhuk ke ḳhiraj

husn ki jitni zamin hoti hai na-qabil-e-kasht

ishq paida kiya karta hai sada sab men anaaj

sab kuchh allah ne de rakkha hai mal-o-zar-o-sim

hain magar ahl-e-duval aql-o-ḳhirad ke muhtaj

is ke aa.iin nahin ab jo amal ke qabil

to ise kar do retire ki purana hai samaj

jab kabhi log taraqqi ki taraf baḌhte hain

Taang uḌa dete hain kambaḳht yahi rasm-o-rivaj

haa.e kya puchhte ho murda dilon ka ahval

miyan zinda hain magar beva hain un ki azvaj

na-ḳhuda.i kiya karta hai talatum ḳhud hi

kheti hain aap hi aa kar miri kashti amvaj

chain se shaiḳh-e-haram umr basar karte hain

rupaya bank men hai milta hai mahana byaaj

kaag uḌ uḌ ke ye botal ke sada dete hain

nashsha-bandi ki suna hai koi mēting hai aaj

ab tu jo chahe kare ishq-e-vatan men ai ‘shauq’

husn kuchh bol nahin sakta hai de kar sauraj

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

aazim-kohli

Subu Utha Mere Saqi Ki Raat Jati Hai

riyaz-khairabadi

Chhodti Hi Nahin Mujhko Shab-E-Furqat Meri

Hasin Tujhse Tera Husn-E-Talab Tha

Sukhi Tahni Tanha chiDiya Phika Chand

Kuchh Haqiqat Hai Kuchh Kahani Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet