bazar-e-dahr men tiri manzil kahan na thi
yusuf na jis men ho koi aisi dukan na thi
zardi ne mere rang ki mujh ko rula diya
hansvae jo kisi ko ye vo zafaran na thi
zahir se khub-ruyon ka batin khilaf tha
shirin-labon ki tarah se un ki zaban na thi
manzil hi duur hai jo ye pahunchi nahin hanuz
dam lene vaali raah men umr-e-ravan na thi
dikhlai sair ankhon ko bam-e-murad ki
aisi koi kamand koi nardban na thi
qaus-e-quzah se ham ne bhi tashbih di use
chilla na hone se jo vo abru kaman na thi
agah jazb-e-ishq-e-zulekha se tha na husn
yusuf ko chaah men khabar-e-karvan na thi
yaad aa gai jo silk-e-guhar tere gosh ki
suhan-e-ruh thi mujhe shab kahkashan na thi
rah jaana pichhe jism ka jaan se ajab nahin
kis karvan ki gard pas-e-karvan na thi
na-fahmi ki dalil hai ye sajda se aaya
iblis ko haqiqat-e-adam ayaan na thi
ashiq ke sar ke saath hai sauda-e-ku-e-yar
momin na tha vo jis ko hava-e-jinan na thi
bang-e-jaras se aage har ik ka qadam raha
gard apne karvan ke pas-e-karvan na thi
afsos kya javani-e-rafta ka kijiye
vo kaun si bahar thi jis ko khizan na thi
nalon se ek din na kiye garm gosh-e-yar
‘atish’ magar tumhare dahan men zaban na thi
Leave a Reply