kas-o-na-kas hain bahut dast-e-talab ke aage
sar-e-pindar jhuka jaata hai sab ke aage
mujh se vabasta azal se hai yahi mauj-e-sarab
kab se main tishna-dahan huun tire lab ke aage
apne suraj ko bhala kis ke muqabil rakhiye
maand paḌ jaate hain sab taab ke tab ke aage
aaj bhi huun main isi girya-e-shab men mahsur
jin ko jaana tha vo sab ja chuke kab ke aage
bas isi vaste raushan hai ye gham-ḳhana-e-dil
ik sahar bhi hai kahin par miri shab ke aage
aur kya daulat-e-parvez milegi tujh ko
hech hain naqd-o-guhar sher-o-adab ke aage
Leave a Reply