koi nahin tha hunar-ashna tumhare ba.ad
main apne-ap se uljha raha tumhare ba.ad
ye meri ankhen baḌi tez raushni men khulin
main chahta bhi to kya dekhta tumhare ba.ad
har ek baat hai uljhi hui zaban tale
har ek lafz koi bad-dua tumhare ba.ad
baḌe qarine se rishte saja.e the saare
bikhar bikhar gaya har silsila tumhare ba.ad
to kya kashish bhi miri le ga.e tum apne saath
koi to dekhta chehra mira tumhare ba.ad
tumhare ba.ad ḳhizan ho bahar ho kuchh ho
kahan ruton se mira sabiqa tumhare ba.ad
bas ek lamha-e-hijran Thahar gaya mujh men
na vaqi.a na koi saneha tumhare ba.ad
ye zindagi ka naya zaviya khula mujh par
main ḳhud se kitna qarib aa gaya tumhare ba.ad
mire mizaj ki ye be-usuliyan chahen
tumhare jaisa koi dusra tumhare ba.ad
vo rang rang-e-tabi.at suḳhan-suḳhan ‘hamid’
suno vo shaḳhs kahin kho gaya tumhare ba.ad
Leave a Reply