
Hamid Iqbal Siddiqui
ishq se ijtinab kar lena
apni miTTi ḳharab kar lena
ham ne duniya ko ḳhuub jhela hai
ham se kuchh iktisab kar lena
bebasi se najat mil jaa.e
phir saval-o-javab kar lena
chhoḌ izzat-ma.ab logon ko
ḳhud ko ali-janab kar lena
kal tujhe kuchh gunah karne hain
aaj kar-e-savab kar lena
is ko bhar lena apni ankhon men
ik haqiqat ko ḳhvab kar lena
kya kami hai hasin chehron ki
phir naya intiḳhab kar lena
tum sar-e-am ek din ‘hamid’
ruuh ko be-naqab kar lena
hama-tan-gosh hai ye virani
yaar ‘hamid’ ḳhitab kar lena

Leave a Reply