dikha kar ik nazar dil ko nihayat kar gaya bekal
pari-ru tund-khu sarkash hatela chulbula chanchal
vo aariz aur jabin-taban ki hon dekh us ko sharminda
qamar khurshid zohra shama shoala mushtari mashal
kafon men ungliyon men laal men aur chashm-e-maigun men
hina aafat sitam funduq misi jaadu fusun kajal
badan men jama-e-zar-kash sarapa jis pe zeb-avar
kade bunde chhade chhalle anguthi nau-ratan haikal
nazakat aur latafat vo kaf-e-pa tak ki hairan huun
saman gul laala nasrin nastaran darparniyan makhmal
sarasar pur-fareb aisa ki zahir jis ki nazron se
shararat shokhi ayyari tarah phurti dagha chhalbal
‘nazir’ ik umr-e-ishrat ho mile aisa pari-paikar
agar ik aan agar ik dam agar ik chhan agar ik pal
Leave a Reply