sub.h bhi hoti rahi mahtab bhi Dhalta raha
zindagi ka karvan chalta raha chalta raha
saneha kya us pe guzra kaun uTh kar dekhta
ahl-e-ḳhana so ga.e lekin diya jalta raha
mere ḳhvabon ki koi buniyad bhi thi kya kahun
barf ka parbat tha ik galta raha galta raha
aḳhiri vaqt aa gaya to sochta huun dosto
aaj ka jo mas.ala tha kal pe kyuun Talta raha
samne ke dushmanon se bach ke rahna sahal tha
astin ka saanp tha baḌhta raha palta raha
hadse ki vo kahani muḳhtasar si hai ‘shakil’
bansuri bhi baj rahi thi shahr bhi jalta raha
Leave a Reply