• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Koi Sunta Hi Nahin Unki Sada Mere Baad

Koi Sunta Hi Nahin Unki Sada Mere Baad

poet

koi sunta hi nahin un ki sada mere ba.ad

haa.e kya vaqt andheron pe paḌa mere ba.ad

vaqt se pahle hi ab us ki sahar hoti hai

hui mansuḳh shab-e-gham ki saza mere ba.ad

ghair ko us ne shab-e-vasl men DanTa do baar

mil gaya mujh ko vafaon ka sila mere ba.ad

koi jaata nahin bachchon ki qataren le kar

haspatalon men vo charcha na raha mere ba.ad

weight lifter koi mujh sa na hua jo paida

kaun uTha.ega tire naaz bata mere ba.ad

ḳhuun hai dil ḳhaak men ahval-e-butan par ya.ani

kis ka ye ja ke daba.enge gala mere ba.ad

apni mahrumi-e-qismat pe hansi aati hai

duudh bazar men ḳhalis bhi bika mere ba.ad

mere matam men nahin apni raqam ke gham men

shahr ka baniya siyah-posh hua mere ba.ad

un ki tafrih ka saman-e-tarab tha main hi

doctor log hain jiine se ḳhafa mere ba.ad

rasm-e-iflas ki tahzib thi mujh se qaa.em

uTh ga.i dahr se jiine ki ada mere ba.ad

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Koi dam Thamta Nahin Baran-E-Ashk

poet

Hum Na Chhodenge Mohabbat Teri Ai Zulf-E-Siyah

thoDa Sa Muskura Ke Nigahen Milaiye

Nikhat-O-Rang Na Mausam Ki Hawa Thahri Hai

Kisi Charagh Ki KHwahish Na Justuju Mujhko

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet