sukun ki mauj uThi shor-o-shar ravana hua
mira varud harifon ko taziyana hua
ba-pas-e-vaz.a mira maslak-e-vafa hai vahi
agarche aap ko badle hue zamana hua
ḳhusha vo sar ki jhuka jo had-e-ta.ayyun men
zahe vo sajda ki jo sarf-e-astana hua
sitam kiya jo ba-mansha-e-dushmani tu ne
miri taraf se javab us ka muḳhlisana hua
gham-e-hayat ki derina sarguzisht na puchh
tiri nigah ko badle hue zamana hua
vo un se pa.ega dad-e-kalam ai ‘nudrat’
mazaq jis ki tabi.at ka ashiqana hua
Leave a Reply