jaan
tum ko khabar tak nahin
log aksar bura mante hain
ki meri kahani kisi mod par bhi
andheri gali se guzarti nahin
ki tum ne shuaon se har rang le kar
mire har nishan-e-qadam ko dhanak saunp di
na gum-gashta khvabon ki parchhaiyan hain
na be-as lamhon ki sargoshiyan hain
ki nazuk hari bel ko
ik tavana shajar an-ginat apne hathon men
thame hue hai
koi na-rasai ka aaseb us rahguzar men nahin
ye kaisa safar hai ki rudad jis ki
ghubar-e-safar men nahin
Leave a Reply