
Momin Khan Momin
main agar aap se jaun to qarar aa jaae
par ye darta huun ki aisa na ho yaar aa jaae
bandho ab charagaro chille ki vo bhi shayad
vasl-e-dushman ke liye su-e-mazar aa jaae
kar zara aur bhi ai josh-e-junun khvar o zalil
mujh se aisa ho ki naseh ko bhi aar aa jaae
nam-e-bad-bakhti-e-ushshaq-e-khizan hai bulbul
tu agar nikle chaman se to bahar aa jaae
jiite ji ghair ko ho atish-e-dozakh ka azaab
gar miri naash pe vo shola-azar aa jaae
kulfat-e-hijr ko kya rouun tire samne main
dil jo khali ho to ankhon men ghubar aa jaae
mahv-e-dildar huun kis tarah na huun dushman-e-jan
mujh pe jab naseh-e-bedard ko pyaar aa jaae
thahar ja josh-e-tapish hai to tadapna lekin
charasazon men zara dam dil-e-zar aa jaae
husn-e-anjam ka ‘momin’ mire baare hai khayal
yaani kahta hai vo kafir ki tu maara jaae

Leave a Reply