yuun ayaan tujh ko dekhte hain ham
ki nihan tujh ko dekhte hain ham
nahin va-did ma-siva darkar
be-nishan tujh ko dekhte hain ham
ghair ki vaan nazar nahin jaati
ab jahan tujh ko dekhte hain ham
didani kuchh nahin zamane men
javedan tujh ko dekhte hain
jaan dene pe kyuun na huun raazi
jan-sitan tujh ko dekhte hain ham
yuun karen ham ko paemal adu
asman tujh ko dekhte hain ham
yuun vo gul-gasht ko chale aaen
gulistan tujh ko dekhte hain ham
aaj apna kaha suna ho muaaf
na-gahan tujh ko dekhte hain ham
aarzu go ki ek harf hai to
dastan tujh ko dekhte hain ham
na karen ab kalim se bhi kalam
ham-zaban tujh ko dekhte hain ham
ham aur aghyar se gila tera
bad-guman tujh ko dekhte hain ham
aur karna hai charkh ko dushman
mehrban tujh ko dekhte hain ham
us ka aana yaqin hai kya ‘salik’
nigaran tujh ko dekhte hain ham
Leave a Reply