pyare suraj
tum to apna chehra
asman par tairte taron ke ainon hi men dhundte rahte ho
par meri bhi ik baat suno
ye jo aankh men raushan taare hain
aur ye jo galon par bahte hue taare hain
aur ye jo phuul phuul ki patti patti par thahre hue taare hain
aur ye jo ret se jhankte taare hain
aur ye jo nadiya ki lahron par nachte aur nahate taare hain
ye taare bhi aine hain
aur meri zamin ke ye aine
pyare sirf tumhare hain
Leave a Reply