tarannum men gavayye ki tarah se taan paida kar
na.e andaz se sheron men apne jaan paida kar
agar tu kaana raaja hai to andhon ka bana halqa
tu apni sha.iri ke vaste maidan paida kar
agar mash.hur hona hai to apni jeb kar ḳhali
kahin se ghair matbua koi divan paida kar
rakh apne haath men patte sharab-o-jam chausar bhi
mire hamdam safar ke vaste saman paida kar
hatheli men dikha jannat muridon ko hi ai murshid
haqiqat men hai daana to koi nadan paida kar
agar phD karni ho to achchhe guide ko chun le
adab men degrē le kar ik naya haijan paida kar
hamari sha.iri ko janchna hi hai agar naqid
to sudh-budh sha.iri ki sher ki pahchan paida kar
jo kahlana ho sha.ir to na kah ash.ar na-mauzun
kam-az-kam sha.iri men vazn ki tu jaan paida kar
‘rahim’ alam ka had-e-nazar tak ik samundar hai
ho mumkin to ḳhushi ka is men ik tufan paida kar
Leave a Reply