sardi bhi ḳhatm ho ga.i barsat bhi ga.i
aur is ke saath garmi-e-jazbat bhi ga.i
us ne miri kitab ka dibacha paḌh liya
ab to kabhi kabhi ki mulaqat bhi ga.i
main asman pe ja ke bhi taare na la saka
tum bhi ga.e udaas miri baat bhi ga.i
ham sufiyon ka donon taraf se ziyan hua
irfan-e-zat bhi na hua raat bhi ga.i
milne lagi hai aam to piina bhi kam hua
qillat ke ḳhatm hote hi buhtat bhi ga.i
Leave a Reply