taqat-e-sabr tire be-sar-o-saman men nahin
istaqamat use is alam-e-imkan men nahin
dhundhta kya hai use ja ke idhar aur udhar
kya tire dil men nahin dida-e-hairan men nahin
kya kahun aah main tashbih nahin de sakta
koi gul zakhm-e-jigar sa to gulistan men nahin
thaam sakte hi nahin khar-e-bayaban mujh ko
taar baaqi koi ab to mire daman men nahin
le gaya jazb-e-dil-e-zar sanam tak un ko
ek lasha bhi yahan gor-e-ghariban men nahin
dekh to chiir ke pahlu men dikha deta huun
juz gham-e-yar koi is dil-e-viran men nahin
nau-giraftar-e-mohabbat huun yahi baais hai
naghma-zan mujh sa koi murgh gulistan men nahin
halqa-e-chashm men zanjir ke in aaza men
aisi kahidgi aai ki jo mizhgan men nahin
dekh kar us lab-e-rangin ko ‘jamila’ ne kaha
jo damak is men hai vo laal-e-badakhshan men nahin
Leave a Reply