tanha.iyon ki god men pal kar baḌa hua
bachpan se apne aap sambhal kar baḌa hua
ghairon ko apna maan ke jiita raha huun main
is rah-e-pul-sirat pe chal kar baḌa hua
main ne kabhi bhi raat se shikva nahin kiya
har shab kisi charagh sa jal kar baḌa hua
patthar se koi vasta matlab na tha magar
har aa.ine ki aankh men khal kar baḌa hua
maḳhmal ki chadaron ka mujhe kya pata ki main
kanTon ke bistaraon ko masal kar baḌa hua
Leave a Reply