apni azli aarzu ke mutabiq
main bilkul azad ho chuki huun
har khvahish se
lalach se
khauf se
gham se
nafrat se
main chahun to rocking chair par
subh se shaam kar sakti huun
ya raat bhar safed kapde par
rang-birange phuul kaadh sakti huun
ya jangal men itni duur ja sakti huun
ki vapas na aa sakun
ya daere men ghumte hue
apne aap ko thaka kar gira sakti huun
kabhi na uthne ke liye
aur aise men
unhon ne use bhej diya hai
jaan buujh kar
meri tanhai men khalal dalne ke liye
taaki mil jaae mujhe phir koi
nafrat karne ke liye
chhoti si to hai vo
magar nahin dalne deti mujhe
apni tanhai men khalal
mukammal taur par azad
meri nafrat se bhi
meri asli varis
magar mujh se kahin ziyada kamyab
tanhai ke fan men
Leave a Reply