tanha har ek rah se guzar jaana chahiye
jaise jiye hain vaise hi mar jaana chahiye
jaane ye dil ka dard kahan tak sata.ega
dariya chaḌhe to us ko utar jaana chahiye
bujh kar vajud-e-sho.ala sulagta hai kis liye
main raakh huun to mujh ko bikhar jaana chahiye
avargi men kab se guzarti hai raat bhi
aḳhir kabhi to shaam ko ghar jaana chahiye
ai dosto khaḌe ho mire gird kis liye
koi batao mujh ko kidhar jaana chahiye
har jalva-e-jamal se tang aa chuka hai ji
ik roz zindagi se bhi bhar jaana chahiye
‘jamshed’ sun rahe ho safar ki pukar kya
tufan ko yuun na rah men Thahar jaana chahiye
Leave a Reply