zindagi apni hui yaar ki fitrat ki tarah
ham bhi kal hon ki na hon us ki inayat ki tarah
vaqt ham ko ye bure din na dikhata ai kaash
ham bhi uTh jaate zamane se mohabbat ki tarah
ham to har lamhe ko dete rahe sanson ka hisab
ham pe TuuTa hai har ik lamha qayamat ki tarah
gul khila.ega ye maqtul-lahu dharti par
kisi ruḳhsar pe chaḌhti hui rangat ki tarah
log kahte hain na kyon bhuul gaya main us ko
vo ki tha jo miri buniyadi zarurat ki tarah
zindagi to kisi saghar men Dhali to hoti
ham to pi lete tujhe jam-e-shahadat ki tarah
Leave a Reply