• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Tang Aate Bhi Nahin Kashmakash-E-Dahr Se Log

Tang Aate Bhi Nahin Kashmakash-E-Dahr Se Log

tang aate bhi nahin kashmakash-e-dahr se log

kya tamasha hai ki marte bhi nahin zahr se log

shahr men aa.e the sahra ki faza se thak kar

ab kahan ja.enge aseb-zada shahr se log

naḳhl-e-hasti nazar aa.ega kabhi naḳhl-e-salib

ziist ki faal nikalenge kabhi zahr se log

ham ko jannat ki faza se bhi ziyada hai aziiz

yahi be-rang si duniya yahi be-mehr se log

mutma.in rahte hain tufan-e-masa.ib men kabhi

Duub jaate hain kabhi dard ki ik lahr se log

ai zamin aaj bhi zarre hain tire mahr-tarash

ai falak aaj bhi laḌte hain tire qahr se log

sirf mahrumi-e-farhad ka kya zikr ‘sahar’

be-sutun kaaT ke mahrum rahe nahr se log

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Phiri Si dekhta Hun Is Chaman Ki Kuchh Hawa Bulbul

saleem-kausar

dast-E-dua Ko Kasa-E-Sail Samajhte Ho

poet

Un Ke Siwa Kisi Ko Na Dekha Karenge Hum

khunTiyon Par KHamushi laTkai Hai

Ek Na Ek Diwar Sarakti Rahti Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet