muḳhtasar hi sahi mayassar hai
jo bhi kuchh hai nahin se behtar hai
din-dahaḌe gunah karta huun
mo’tabar ho na ja.un ye Dar hai
manch par kamyab ho ki na ho
mujh ko kirdar apna azbar hai
sab ko pathra diya palak jhapke
ham na kahte the shobada-gar hai
ain mumkin hai vo palaT aa.e
mera iman mojazon par hai
pahle mausam pe tabsira karna
phir vo kahna jo dil ke andar hai
saare manzar hasin lagte hain
duriyan kam na hon to behtar hai
raste bain kar rahe hain kyuun
kya masafat ye intiha par hai
fasl boi bhi ham ne kaaTi bhi
ab na kahna zamin banjar hai
Leave a Reply