• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Patthar Ke Ratjage Meri Palkon Mein gaD Ke

Patthar Ke Ratjage Meri Palkon Mein gaD Ke

patthar ke ratjage miri palkon men gaaḌ ke

rakh diin tire firaq ne ankhen ujaaḌ ke

itni tavil apni masafat nahin magar

mushkil-mizaj hote hain raste pahaḌ ke

ankhon se ḳhadd-o-ḳhal nikale na ja sake

har-chand phenk di tiri tasvir phaaḌ ke

ye bholpan nahin hai ki suraj ke as-pas

rakkhe ga.e hain da.ere kanTon ki baaḌ ke

miTTi men mil ga.i hai tamanna milap ki

kuchh aur gir paḌe hain kinare daraḌ ke

be-mehr mausamon ko nahin janta abhi

ḳhush hai jo sa.eban se ta.alluq bigaḌ ke

patthar ke jism men tujhe itna kiya talash

‘mansur’ Dher lag ga.e ghar men kabaḌ ke

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Junun Pe chhoD Di Ab Sari Zindagi Maine

KHayal Ki Tarah Chup Ho Sada Hue Hote

sahir-ludhianvi

Aqaed Wahm Hain Mazhab Khayal-E-Kham Hai Saqi

poet

Rah-E-Talab Mein Hamein Gham Pe Gham Nazar Aae

Ab Nibhani Hi paDegi Dosti Jaisi Bhi Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet