• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Lahr Ki Tarah Kinare Se Uchhal Jaana Hai

Lahr Ki Tarah Kinare Se Uchhal Jaana Hai

lahr ki tarah kinare se uchhal jaana hai

dekhte dekhte hathon se nikal jaana hai

dopahar vo hai ki hoti nazar aati hi nahin

din hamara to bahut pahle hi Dhal jaana hai

ji hamara bhi yahan ab nahin lagta itna

aaj agar rok liye jaa.en to kal jaana hai

dil men khilta hua ik aḳhiri ḳhvahish ka ye phuul

jaate jaate ise ḳhud main ne masal jaana hai

jo yahan ḳhud hi laga rakkhi hai charon janib

ek din ham ne isi aag men jal jaana hai

chalti rukti hui ye husn bhi hai ek hava

mausam-e-ishq bhi ik roz badal jaana hai

jaise ghuTTi men koi ḳhauf paḌa ho is ki

bat-be-bat hi is dil ne dahal jaana hai

aur to honi hai kya apni vasuli us se

munh pe kalak ye mulaqat ki mal jaana hai

main bhi kuchh der se baiTha huun nishane pe ‘zafar’

aur vo khencha hua tiir bhi chal jaana hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Jo Uske Samne Mera Ye Haal Aa Jae

poet

Lakh Mujhe Dosh Pe Sar Chahiye

poet

Us Chashm Ne Ki Tutiyon Ko Nukta-Dan Kiya

faiz-ahmad-faiz

Gulon Mein Rang Bhare Baad-E-Nau-Bahaar Chale

zaKHm Par Rakhta Hai Marham Aasman Nashtar Samet

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet