tamanna hai kisi ki tegh ho aur apni gardan ho
phir us ke ba.ad yarab sar kaTe naale men madfan ho
hujum-e-am ho aur mujtam.a goron ki palTan ho
samajh lo lauT aa.e hain jo station pe dan dan ho
kahen qatil ko ham mahbub agar hai ain nadani
hazar lazim hai aise shaḳhs se jo apna dushman ho
lab-e-shirin agar ma.ashuq ka qand-e-mukarrar hai
jabhi janen ki baiThen makkhiyan aur us pe bhan bhan ho
na turbat ki jagah kuche men paa.i to shikayat kya
gali un ki koi takiya hai jis men apna madfan ho
ye sab lakḌi ke taḳhte ḳhaak men mil jaa.en jal-bhun kar
ghazab ho jaa.e gar sach-much lahad men daagh raushan ho
yahi dahshat agar dast-e-junun ki hai to ai bhaa.i
dupaTTa oḌh lo jis men gareban ho na daman ho
nigah-e-shauq kya Thahri vo goya belcha Thahri
makan-e-yar ki divar men jis se ki rauzan ho
macha.e shor-o-ghul ah-e-sharar-afshan kare har-dam
yahi ausaf lazim hai to ashiq kyuun ho engine ho
hamara jhonjh phulvari men ho koi nahin kahta
yahi kahte hain yarab baagh men apna nasheman ho
azal se ta-abad lambi yaqin hai Taang bhi hogi
hasin shoḳh vo sahra-e-mahshar jis ka daman ho
‘zarif’ insaf se kah do vo ashiq hai ki chuha hai
zamin-e-qasr-e-janan men jo ye chahe ki maskan ho
Leave a Reply