tamam-duniya ka laḳht-e-jigar bana hua tha
vo aadmi jo mira dard-e-sar bana hua tha
use talash rahi hain miri udaas ankhen
jo ḳhvab raat ke pichhle pahar bana hua tha
pahunch ke kucha-e-janan men aa gaya bahar
mire vajud ke andar jo Dar bana hua tha
kamal-e-ishq ne mere kiya hai zer use
kisi ka husn jo kal tak zabar bana hua tha
utarti kaise sukun ki vahan koi chiḌiya
mahal jo hirs ki buniyad par bana hua tha
bana diya use insan teri qurbat ne
tire firaq men jo janvar bana hua tha
ye us ka shauq nahin us ki inkisari thi
vasi.a ho ke bhi jo muḳhtasar bana hua tha
pahunch gaya hai javani se ab buḌhape tak
vo ek dukh jo sharik-e-safar bana hua tha
havas ke chaak ki miTTi javan thi jab tak
tamam-shahr yahan kuza-gar bana hua tha
vo janta tha mire an-kahe dukhon ka ilaaj
magar vo ‘faiz’-miyan be-ḳhabar bana hua tha
Leave a Reply